Saturday, October 15, 2011

BACHPAN


Bachpan ka woh ..
Khil khila ke hasna….
Bin baat ruthna..
Din bhar dhup mein khelna,,
Khub uchal kudd machana……
Doodh ke glass ko dekhkar
Shakalee bnana, Muh chehrana….
School jaane ke samay ,
Ek dmm Bemaar padhna…
Woh bin aansu rona aana,
Woh bachpan ki naadaani mein..
Dosto ki pole kholna..
Baat Baat pr Katti-Abba hona
Unn dino ki woh Naadaaniya..
Woh naa janee kitne,
Nttkhtt si Pyaari yaadein . .
Dil ko aaj bhi bhut Tarpaati hein..
Woh Bachpan ke pyaare pyaare Khel..
Kabhi wish toh Kabhi Amrit,
Kabhi chain-chain toh kabhi
Lukka-Chuppi,
Woh din,
Wohi din…
Woh bachpan ke din ,
Humari Zindagi naamk Kitab
Ka ek pnna bn kr hee reh gyee hein.
Anmol pnna woh aisa tha..
jo likha nhi ja sakta abb..
Woh bachpan mein….
Bin brakes bhaagna..
Girna, chott lgvaana..
Aur khena kuch nhi hua maa,,,,,
Aur dusree hee pal,
Maa seh liptt ke rona..
Woh bachpan ke maasoom Chehre..
Woh bachpan ki zidd..
Mummy mujko yeh chahiyee..
Papa mujko vo lena hein….
Bachpan ki woh bevkufiya..
Zubaan ka totlana..
Woh sabhi angeentt anmol pal..
Yaadein..
Bhut khushi deti hein...
Kaash hum apni din dugni , raat chohguni..
Rftaar se bhaag rhi Zindagi ko..
Keh saktee ki….
Arreee meri Zindagi..
Aa ab usi Maasoomiyat,
Se bhari Zindagi mein Lot chalee..