Zindagi ke safar mein..
Rustee unek hein,
Par
Manzil ek hee hein
Kuch log
Zindagi jeetay hein,
Toh
Kuch log kaat te hein..
Kuch khaney ke liye jeetay hein,
Toh
Kuch jeenay ke liye khatey hein..
Har ruste mein kthinayeya hoti hein,
Thokar bhi bajti hein,
Log rote hein,
Toh,
Husste bhi hein,
Prr hota toh vahi hein,
Jo Khuda ke mnn mein hota hein..
Kuch logo ke naam,
Jeet aur khushi hoti hein..
Toh
Kuch ke naam,
Haar aur rona hota hein..
Na hee
Jo kaam krta hein ,
Usko jeet milti he milti hein..
Aur
Na hee,
Jo haar jaate hein unhone,
Kuch kiya nhi hota..
Mehnat toh bahut log krte hein,
Pr
Hrr kisi ke naam jeet nhi
likhi hoti..
Aaj ke duniya mein toh,
Mukhate pe mukhate hein..
Jo log asliyat dekhate hein veh,
Gundey aur Sakht swbhav vale maane jate hein..
Aur jo log
Har pal mukhotte bdalte hein,
Unhe mast aur sacha maana jata hein..
Aisa hee kuch hein yeh safar,
yeh anjaan safar,
Zindagi ka Safar..
No comments:
Post a Comment